Pages

May 21, 2007

Few Shayari’s

From my collection

Aap to manzil ko mushkil samajte he
hum aap ko manzil samajte he,
bada fark he apke or hamare nazariye me
aap hume sapna or hum aap ko apna samajte hai

Bolti hai dosti chup rehta hai pyar,
hasati hai dosti rulaata hai pyar,
milati hai dosti judaa karta hai pyar,
phir bhi kyun dosti chodkar log karte hai pyar?

Leke hum dusro ki hasi kya kare,
jo apni nahi wo khushi kya kare,
tanha jine se behatar hai mar jaye hum,
jab saath tum nahi to zindagi jikar kya kare

Yaad karte hai tumhe tanhai mein,
dil dooba hai gamo ki gehrai mein,
hume mat dhoondna duniya ki bhid mein,
hum millenge tumhe tumhari parchaai mein..


Har baar dil se yeh paigaam aaye
Zubaan kholu to tera he naam aaye
Tum hee kyon bhaye dil ko kya malum
Jab nazroo ke saamne haseen tamaam aaye


Shaam hote hii ye Dil udaas hota hai
Toote khwaboo ke siwa kuch na pass hota hai
Tumahri yaad aise waqt bohat aati hai
Bandar jab koi aas-paas hota hai..

Haseeno ne haseen banke gunaaah kiya,
auro ko to theek humko bhi tabaah kiya,
pesh kiya jab ghazaloN mein unki bewafaii ko,
auro ne to theek unhone bhi waah waah kiya

Khuda se thoda rahem kharid lete,
aap ke zakhmo ka marhar kharid lete,
agar kahin kabhi bikti khushiyan meri,
to saari bechkar aapka har gam kharid lete

Zindagi mein hamesha SMART log milenge,
kahi zyada to kahi kum milenge,
choice zara sochke karna,
zaroori nahi har jagah tumhe hum jaise milenge

Har ek se achi baat karna FITRAT hai hamari,
har ek khush rahe ye HASRAT hai hamari,
koi hum ko yaad kare ya na kare,
har ek ko yaad karna aadat hai hamari

Ikrar may shabdo ki ahmiyat nai hoti,
dil ke jazbat ki awaz nai hoti,
ankhen bayan kar deti hai dil ki dastan,
mohabbat lafzo ki mohtaz nai hoti

Hum wo ishq hain jo dil bankar dhadakte hai,
hum wo khushbo hain jo baho mein mahakte hain,
humse pyar na karna e-zalim
hum vo dard hain jo ankho se chalakte hain

Apne pyar ko chupana chaha par chupa na sake,
diwane dil pe kabu hum pa na sake,
aaj itne karib se gujar gaye wo,
phir bhi unka hath hum tham na sake

No comments: